BAHEN KI MADAD AUR ZAKAT

Hands holding sapling in soil

Sawal : Assalamualaikum

Bivi ko poche bagair hamare bahan ki madad karsakte bhanji ki shadi hai
Aur zakat ke paise ye shadi me lagasakte
(Ek islami Bhai),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatuallah,
Madad me bivi ki ijazat zaroori Nahi hai,aur Bivi ko bhi chahiye kyu ke ghareeb Bahen ki madad karne se paise khatam Nahi hojate hain,Balke mazeed Maal me Barkat hoti hai,
aur yaad rahe ke kisi bhai ko apni Bahen ki madad karne se Nahi rokna chahiye warna Khud ke Madad ke waqt uske Bhai ki Bivi bhi iski madad karne se rokegi,
Aapki Bahen haqeeqat me bohat ziyadah ghareeb ho to zakat ke paise de sakte hain,
warna zakat hi ada Nahi hogi,
Agar Bahen ki madad hi karna ho to zakat se Nahi atyah(Gift) ke zariyeh bhi karsakte hain.
(Kitab ul Asl,Vol/1)
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site….anwaarulislam,com.

You might also like