DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : LIBAS , DAY : 316,

Hazrat Ibne Abbas(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram

(Sallallahualihwasallam) ne farmaya : Ismid Naami Surmah Lagaya karo kyu ke wo Ankho ki Beenayi ko Tezz karta hai,aur Palko ke Baalo ko Ugata hai.
(Vol/2,H,No :1862),
Dars :Ankho me Surmah lagana Sunnat hai,aur surmah ki kayi qisme hoti hain,Unme se*ismid* Naam wala Surmah Bohat umdah hota hai,jiske kayi faideh hain,
■■ Ulama e kiram ne bataya ke :Raat me Sone se pahle Seedhi Aankh me Teen martabah,aur Bayi Aankh(left eye) me teen martabah surmah Lagana Sunnat hai,
Isko Raat ne istemal karne se Sunnat bhi ada hojayegi aur Rahat wali Neend bhi Naseeb hojayegi…insha Allah,
●● Jumah ke Din Surmah lagana Aadab me se hai,
☆☆ Mard aur Aurat Surmah kabhi bhi laga sakte hain,Din me bhi aur Raat me bhi,
Yaad rahe ke Libas ke chapter me Surmah ka hukm aana is baat ki taraf isharah hai,ke Aankho ka Libas*SURMAH* hai.
Allah hame Sunnato per chalne wala banaye..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like