BED ROOM ME QURAN AUR NAMAZ..?

Sawal :Assalamualaikum Mufti Sahab,
Bedroom me Quraan rak sakte aur namaz pad sakte ki nahi kyu ki maine suna hai bed room na paak rahta isliye nahi padna chahiye..kya ye sahi hai..?
(Mohammed Khaja),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Deen e islam Kamil Yaqeen wa Shak wa Shubhaat se Pakeezah Mazhab hai,jis me Har Baat per Shak karne se Mana kiya gaya hai,lehaza Bed Room Jab Paak ho yani zahir me koi Na Paaki Na ho usme Quran bhi rakh sakte hain,aur Namaz bhi Padh sakte hain,
(Al Hidayah,Vol/1)
Jab Bedroom me Quran ki Tilawat hi Na ho aur Namaz ki Pabandi hi Na ho to phir Chote Bacho pe Deen ka kise Asar hoga,to hame chahiye ke Bedroom ko Paak rakhte huve Quran ki tilawat wa Namaz ka ehtemam kare to Ghar aur Awlaad dono me Barkat hogi..insha Allah.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,comm

You might also like