DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 486,Hadees No :2171,

 

Hazrat Usamah Bin Shuraik (raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Ek Deehati Shaks ne Sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) kiya Hum Beemari me Dawa(medicines) istemal karsakte hain ? To
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Aye Allah ke Bando ;Tum Dawa ka Istemal karo,kyu ke Allah ne Har Beemari ki Dawa rakhi hai,sivaye Ek Beemari ke,to Sahaba e kiram(raziyallahuanhumajmayeen) ne kaha wo kiya hai ? To aapne farmaya :
Budhapa(Oldage) ki koi Dawa Nahi hai.
(Vol/2,Hadees No :2171),
Dars : Allah ke 2 Qisam ke Bandeh hote hai,
1) Khaas Bandeh, 2) Aam Bandeh
●● Khaas Bandeh Apni Zindagi ka Har Lamha Allah ki Bandagi,Zikr wo Azkar,Mukashafah wa Muraqabah,aur Har kaam Allah ki Raza keliye karte hai,au unka Har Kaam me Allah per Kamil Yaqeen hota hai,to ayse Bandeh Dawa Nahi Balke Dua se hi Beemariyo ko door karlete hain,to ye Kamil Eiman wale hote hain,inki Nigah Asbaab pe Nahi Balke Musabbibul Asbaab pe hoti hai,
○○Aam Bandeh Ye Bandeh Eiman Wale to hote hai,Magar Apni Zindagi ka ziyadah Waqt Dunya me laga dete hain,Inki Fikar Dunya ki kaamo me kamiyabi keliye ziyadah hoti hai,magar ye Bandeh bhi Allah ki me mashghool rahte hain,inki Nigah Asbaab per hoti hai,lehaza ye Dawa se Apni Beemariyo ko door karte hain,
Yaad rahe ke Ye 2 qisam ke Allah hi ke Bandeh hain,magar dono ke Aamal ke lehaz se Darjah bhi alag alag hota hai,
■■ Budhape me Bandeh ko Jawani ki Nahi balke Aakhirat ki Zindagi ki Tayyari karni chahiye warna Budhapa koi kaam ka Nahi…….
Allah hame Khaas Bando me Shamil kare…Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like