BIVI KO MAHER DENE SE PAHLE BIVI KA INTEQAL ?

Sawal: Assalamualykum rehmatullahi wabarkatuhu mufti Sahab,

apne group Mai sawal aya bare meherbani jawab dijiye
Kiya farmate hai ulamaye deen is masle ke zaid ki biwi ka inteqal hogaya hai aur zaid biwi ke mahar ko uski hayat me adaa nai kiya , biwi ke inteqal ke baad agar zaid mahar ki raqam kisi shaadi me adaa karna chahe to woh adaa karsakta hai?
Baraye maherbani jawab zaror de.
(Mohammed Ahmed Khan Naqshbandi).
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Ab jab ke zaid ki bivi ka inteqal hochuka hai,to ab us maher ke mustahaq uske Waris honge,aur agar unki ijazat se us maal ko Ghareebo ya masjido ya deen ke kaam me istemal kare to ziyadah behter hoga,kyu ke us se unki Rooh ko sukoon wa rahat milegi,aur aakhirat me bhi uske ajr se mustafeez hongi insha Allah.
(Sharh ul Wiqayah,Vol/2).
Note :Bara e Maherbani,Aap logo se guzarish hai,ke hame Face book,watsp,Msnger,Calls etc…ke zariyeh kayi sawalaat arahe hai,to jawab dene me thodi der ho rahi,to hame Maaf kare aur aap thoda intezar kare..

You might also like