DARSE JAMIUT TIRMIZI

 

CHAPTER:SALAH(SALAH), DAY:143,

Hazrat Abdullah Ibne Mas’ood(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha: Jab Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) Khutbah keliye Member Per Jalwah Afroz hote to Hum Saare Aapki Taraf Mutawajjuh Hojate.
(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No:511),
Dars:Hadees e Paak me Khutbah ke aadab bayan kiye hai,ke Jab Khateeb Member per Chadh jaye to Musallliyo ko chahiye jo Usi waqt hazir huve ho,To khutbah sunne keliye Mutawajjuh hojaye,sumnato me masroof na hove ,kyu ke Khutbah Sunna “WAJIB” hai,
aur jo Namaz me hoto Apni Namaz ko Mukhtasar Surato se mukammal karle,
●● Khutbah ke Aadab me se…ke Khutbah Sunne wala 2 Zano(Jaise Namaz me Qadah me Baith te hai) baithe aur Apna Chahrah Khateeb ki taraf kare,aur Nigah Khateeb per rahe..
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like