CHAPPAL ULTA RAHNE SE..?! **

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Baaz Log Kahte hain,ke ” Ghar me Chappal ya Shoe Chode aur Wo Ulta hojaye ya girjane se Ghar ki Barkat khatam hojayegi” to Ye Baat Sharee etebar se kaha tak sahi hai..?
(Shakir Hussain),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Chappal ka istemal Pairo ko Gandagi aur Takleef dene wali cheez se Hifazat keliye hota hai,aur Jab Chappal Ulta hojaye to uske Neeche Ka Hissah uper hojata hai,jo Mitti,Gandagi etc ka maqam hota hai,usko Dekhne ya Us per Achanak bhi Nazar padhne se Tabiyat me “KARAHAT”mahsoos hoti hai,jis se Dil ko Takleef hoti hai,lehaza is Karahat aur Dili Takleef se Hifazat keliye Chappal ko Seedha Rakhna hai,ulta rakhna isi liye Mana hai,kyu ke Raasteh se Takleef wali cheez ko Hatana Islami Taleemat me se hai,aur us Amal se Gunaho ki Bakhshish bhi hoti hai,
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: ((بَيْنَمَا رَجُلٌ يَمْشِي فِي طَرِيقٍ إِذْ وَجَدَ غُصْنَ شَوْكٍ فَأَخَّرَهُ فَشَكَرَ اللَّهُ لَهُ فَغَفَرَ لَهُ
(Tirmizi,Vol/2,H,No :2085),
Jaha tak Chappal ya Shoe Ulta hone se Ghar se Barkat ka khatam hona Koi Hadees se Sabit Nahi hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like