* DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : FITNE(AKHIRI ZAMANEH KI AZMAYISHE), DAY : 537,Hadees No :2327,

 

Hazrat Abu Saeed (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Tum me se koi Kisi Burayi ko Dekhe to Usko Chahiye ke Us Burayi ko Apne Haath se Door kare,Agar Uski Taqat Na ho to Apni Zuban se Door kare warna Usko Apne Dil me Burayi ko Bura Samjhe ye(Teesra Shaks) Kamzor Eiman Wala hoga.
(Vol/2,Hadees No :2327),
Dars : Deen e islam Na Burayi ko karne deta hai,aur Na hi Burayi ko dekh kar sahne balke us Burayi ko Jad se hi khatam karne ki taleem deta hai,jaise Zina ko Bunyad se hi khatam karne keliye Apni Nigaho ki Hifazat ka hukm aya hai,jis Bandeh ki Nigah Paak hojaye to phir wo kabhi Zina me Mubtala ho hi Nahi sakta..insha Allah,
●● Burayi ko Agar Haath se rok sakte hain,to Haath se rokna chahiye warna Zuban se agar wo bhi Na hosake yani Bure Log Ziyadah jojaye aur Nek log kam rah jaye to aysi Soorat me Nek logo ka palda Kamzor hoga to Hikmat isi me hai,ke usko Dil me Bura samajh le to Burayi se Rokne ka hukm mukammal hojayega,
Allah hame Burayi se Rukne wa Rokne wala Banaye..Ameen.

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like