CHIPKALI MARNE KA HUKM ?

Sawal :Assalamualaikum Mufti Sahab,
Mufti Sahab mera ek sawal hai k chiplak ko maarna jayez hai..?
(Mohammed khaja),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Deen e islam me Chipkali ko Maarne ka Hukm hai,kyu ke wo Ek Zahreela Aur Noqsaan pahonchane wala Zameeni keeda hai,jaisa ke Hadees e paak me chipkali ko Marne ka hukm bhi aya hai,
Hazrat Ayisha Siddiqah (Raziyallahuanha) ke ghar ek Barchha(long stick with sharp tip) rakha hua dekha, to arz kiya:Ummul Momineen! Aap is Barchhe(long stick with sharp tip) se kya karti hai? Kaha:ham is se chipkaliyo ko marte hai Kyu ke Rasool e Akram(sallallaho alyehi wasallam) ne hame bataya hai ke jab Hazrat Ibrahim (Alihissalam) ko Aag me dala gaya to ru-e-zameen ke tamam janwaro ne aag bujhaai siway chipkali ke ye usey aur phoonk marti thi, isiliye Rasool e Akram (sallallaho alyehi wasallam) ne isko Marne ka hukm diya.
( Sunane Ibn Majah,Vol/2,H,No : 3231),

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like