DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TAQDEER, DAY : 516,Hadees No :2282,

Hazrat Abdullah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,Hazrat umer(raziyallahuanhu) ne sawal kiya Ya Rasoolallah(sallallahualihiwasallam) Jo Kuch bhi Hum Amal karte hai,kiya Pahle hi likha ja chuka hai,to
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Haan,Har Kiya Jane wala Kaam likha ja chuka hai,To Jo Nek Bakhto me se hoga to wo Nek Kaam me laga hoga aur Jo Bad Bakhto se hoga wo Bure Kaamo me hoga.
(Vol/2,Hadees No :2282),
Dars : Bandeh ke ye Pata to Nahi hota hai,ke Marne ke Baad uske saath kiya Moamlah hone wala hai,lekin Hadees s Paak me ye isharah zaroor mil gaya hai,ke Jab Nek Kaam ki Taufeeq mil jaye to usko chodna nahi hai,kyu ke Zahir me ye Ek Neki hai,Lekin Haqeeqat me to ye Apne aapko Nek Bakhto me Shamil karlena hai,Ab Raha Akhirat ka moamlah wo Allah ke Supurd karde,insha Allah Neki ka Anjaam to Khush Naseebo ke saath hi hoga,aur Burayi ke Asbaab se bhi Na bache to yaqeenan uska Anjaam Bohat Bura hoga…
Allah hame Bure Anjaam se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like