CHOOTI HUVI FARZ NAMAZ KA QIYAM ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,

Isha farz namaz jamaat k sath padhte hue ek rakat chhut gyi he… ab us namaz ko ada karne k liye khade hote he..us se pehle jo ham qayam karte he us me kya padhe ?
(Pathan Arif Khan),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Agar Koi Farz Namaz jaise Isha ki Namaz hai,uski koi 1 Rakaat choot jaye to imam ke salam pherne ke baad us rakaat me Pahle Sana,Phir Awubillahi minash Shaitanir Rajeem,aur Bismillahir Rahmanir Raheem,padhne ke baad surah fateha aur koi ek aur Surah jo yaad ho wo padhe aur apni Rakaat mukammal karle to insha Allah Namaz hojayegi.
(Al Hidayah,Vol/1,Pg/150..200),

Plz..Share it to All,For more services Visit our web site.anwaarulislam,com.

You might also like