DARSE JAMIUT TIRMIZI , CHAPTER :SALAH (EID), DAY:149,

 

Hazrat Samurah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha:Maine Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) se ke saath kayi Martabah Eid ki Namaz Baghair Azaan wa baghir iqamat ke padhi hai.
(Vol/1,H,No:535),
Dars :to isliye Eid ki Namaz ko Azaan aur iqamat Nahi di jati hai,kyu ke wo saal me ek hi martbah hoti hai,rozanah to nahi hoti,aur Azaan wa iqamat to Namaz ka elan hote hai,is se eid ki Namaz aur Doosri Namazo me farq hojaye,aur iski Imtiyazat bhi baaqi rahe,isliye ye 2 cheeze nahi di jati hai.
●● Eid ki Namaz to”KHAAS IN’AAM”hoti hai,to Wo Baghir Elan ke hi Momtaz hota hai,
Allah humko saari Namaze padhne ki Taufeeq de..Ameen.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like