DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF, 60, DAY,Chapter : JUMA’H.

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,ABUL QASIM( Rasoolullha<<sallallahualihiwasallan) ne farmaya : Jumah ke din farishte Masjid ke Darwazo per Khade rahte hai,awr Har Aane wale ka Naam ek register me likhte rahte hai,awr unko sadqah ka sawab likhte hai,
awr jab imam member per khutbah keliye khade hote hai,to wo apna register band kardete hai,ab aane wale kisi ka naam usme nahi likha jata hai,

Dars : Dekha dosto jumah ke din ki kitni fazeelat hai,ke bandah masjid me dakhi horaha hai,abhi namaz bhi nahi ada kiya ,
magar Allah udher farishto ko hukm deta hai, ke mere bando ko sadqah ka sawab ata karo,,!!

LEKIN,,,,,,,,AFSOS,,,,,,,,,???????
is baat per ke aaj ham me se aksar log Namaz ke khade hone ke qareeb masjid me dakhil hote hai,,
ya agar aabhi jaye to haal ye hota hai,ke khutbah ke waqt wazoo khana me baith kar wazoo me masroof rahte hai,
kaash hum masjid me jald ajaye to Sunnato ke ada karne ka mauqa bhi milta hai,
awr khutbah sunna bhi hojata hai,awr farishto ke register me naam bhi likha jata hai,
Allah hum sabko jumah ki rahmato wa barkato ko lootne ki taufeeq ata famaye,,,,,,,
AMEEN…………………

Plz,,read and share it.

You might also like