DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,24 DAY,Chapter : SALATH,

 

Sayyidah Ayisha Siddiqua(rz) se rivayat hai,kaha,Agar Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) AWRATO (Ladies) ka Masjid ko jaane se jin fitno ka paida hove dekhte to zaroor Khawateen ko Masjid me Namaz pahdne se Mana farmate ,jisa ke Banee israyeel ki Khawateen(Ladies) ko Masjid jane se roka gaya tha,

Dars : ye Hadees Sayyidah Ayisha Siddiqua(rz) ne Rasool ulllah (sallallahualihiwasallam) ke zahiri wisaal ke baad farmayi hain,awr ibteda e islam me awraton ko namazo ki tarbiyat awr islami taleemat ke liye Masjid me Namaz padhne ki ijazat digayi thi ,phir jaise jaise islam ki taleemat aam hoti gayi,awr aap ke zahiri wisaal ke baad aazmaishe awr fitneh bhi badhte gaye to Khawateen ko isi Hadees awr doosre Ahadees jaise ke Rasool ullah(sallallahualihiwasallam) ne farmaye ke : AWRAT ke Namaz us ke samne ke kamrah(room) se uske Androoni kamrah me pardah awr Hijab ke saath ziyadah AFZAL hai,TO maloom huva ke awraten Namaz masjid me nahi balke Apne ghar me hi padhle ,to inshallah Allah unko masjid me padhne ka “SAWAB” ata farmayega,

Plz,,read and share it

You might also like