DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,25 DAY,Chapter : SALATH,

 

Hazrat Abu Hurairah(rz) se rivayat hai,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab tum me se koi IMAMAT kare to Namaz ko IKHTESAAR ke saath ada kare,kyu ke JAMAT me imam ke peeche BACCHE,BADE,KAMZOR AWR ZAYEEF,log rahte hai,haan jab tum tanha Namaz padh rahe hoto us waqt jisa tum Lambi Namaz padhna chah rahe ho padh sakte ho.

Dars : ALLAHU AKBER KABEERA !!! Quban jaye aapki ADA E HUQOOQ ki taleem par ,ke Namaz me bhi hai,magar doosre ka paas wa lehaz karne ki taleem de rahe hai,ke kahi hamari namaz se doosro ko takleef na hone paye awr namaz ko mukhtasar karne ka hukm farmaya,,,

awr jab hum Bus,ya train me hote hoto saamne Bodhe Mard wa Awrat hoti hai,khawateen saamne khadi hai,jabke hum unke hi seats par baithe hai,to kiya humko unke huqooq ada nahi karna hai, !!! zaroor karna hai,,islam ek universal mazhab hai,jo har ek ke huqooq ada kane ki taleem deta hai,chahe saamne wala musalman ho ghair muslim..

PLZ ,,read and share it

You might also like