DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,27 DAY,Chapter : SALATH,

 

Hazrat Madan bin Abu Talha(rz) ne kaha my Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ke gulam se mulaqat kiya awr unse sawal kiya ke mujhe koi aysa amal bata do jisko my amal karne se “ALLAH MUJHKO JANNAT ME DAKHIL KARDE ” ravi ne kaha maine Allah ke paas sabse pasandeedah amal ke baare me sawal kiya ,to wo khamoosh rahe to maine teen baar sawal kiya to unhone kaha uske baare me Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Tum Kasrat se SAJDEH kiya karo ,kyu ke jab tum ek Sajdah karte hoto to ALLAH us ek SAJDAH ke barkat se tumhara ek darjah buland farmate hai,awr us ek sajdah ke barkat se tumhara ek gunah maaf farmate hai,

Dars : Is Hadees me kasrat se sajdo se muraad Farz,wajib,Sunnat awr Nafil Namaz muraad hai,
jis kisi ko ek amal karke Jannat me dakhil hona hai,to wo ek hi AMAL ,,,,,””NAMAZ”” ,,,,, ko Thaam le to inshallah wo bandah jannat me dakhil hojayega,,,
Allah hum sabko Namazi Banade maulaa,,,,Ameen,,

plz,,read and share it,for more islmic knowledge like our page “ANWAAR UL ISLAM.INDIA..

You might also like