DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,38, DAY,Chapter : MASAJID,NAMAZ,

 

Hazrat Zaid bin Arqam(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,Ibteda e islam me hum Namaz me Aapas me Baat(talking) kiya karte the,yaha tak ke ye ayat e kareemah{وقوموا لله قانتين} [2/البقرة/ الآية-238] Nazil huve to Humko Namaz me Khamoosh rahne ka Hukm diya gaya ,awr Namaz me baat karne se mana kiya gaya,
Dars : to is se maloom huva ke ibteda e islam me kayee cheezo ki ijazat thi,lekin mahol wa masleh ke lehaz se masayil me tabdeeli bhi hoti gayi,
isi tarah ibteda e islam me ghurbat ki wajah se sar par topi (cap) lagane ki bhi qudarat wa isteta’at bhi nahi thi,lekin baad me khud hadees se Namaz me sar (head) per topi (cap) lagana bhi sabit hai,to usi ko pakad kar Namaz me topi nahi lagan kahna “shareeat ke khilaf ” HAI,,

plz,,read and share it.

You might also like