DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF ,39 DAY,Chapter : MASAJID,NAMAZ,

 

Hazrat Mu’aiqeeb (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : jab tum Namaz padhne lago awr sajdah ke maqam par koi cheez(kankar,patther,,etc,,) rahe,jis se sajdah karne me takleef hoto us cheez ko ek hi maratah me door karlo.
Dars : Ye islami sahoolat hai,bando ko bandagi keliye,,
awr yahi hadees namaz me jainamaz istemal karne ki bhi daleel hai,
awr is se ye bhi daleel milti hai,ke namaz me agar sar (head) par se topi (cap) gir jaye to ek hi maratabah me usko utha lesakte,lekin uthaye bhi aysa ke dekhne walo ko ye na maloom hoke aap namaz se baher hai,matlab namaz ke arkaan ka bhi pura pura lehaz rakhen,,

plz,,read and share it,

You might also like