DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,57, DAY,Chapter : JUMA’H.

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Jab Imam Khutbah dete rahe,to tum khamoosh raho,awr agar tum apne saathi ko dauran e khutabah “” KHAMOOSH RAHO “”” ka jumlah bhi,kahoge to wo Laghu yani bekaar baat samjhi jayegi.

Dars : dekha dosto jumah ke khutbe ki kitni fazeelat hai,wo isliye ke jumah ka khutbah sunna wajib hai,awr baaz ulama ne to ye bhi kaha hai,ke jumah ka khutbah 2 rakat namaz ke barabar hai,yani allah uska sawab 2 rakat namaz ke barabar ata karta hai,
to dosto jumah ka khutbah sunne keliye waqt per hazir hone ki hum sabko koshish karni chahiye,,,

PLZ,,read and must share it.

You might also like