DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,67 , DAY,Chapter :JANAZAH,

 

Hazrat Abu Saeed Khudri(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Rasool e Akram(sallallahuallihiwasallam) ne farmaya : Jab tum me se kisi ke paas maut hazir hoto to us shaks ko aakhiri waqt me “” LA ILAHA ILLA ALLAH “”” ki talqeen karo.

Dars : is hadees me is baat ki taraf targheeb hai,ke bandah ki zindagi ke aakhiri lamahaat Allah wa Rasoolullah ke naam hone paye take us ka khatimah wa anjaam behter hojaye,kyu jab wo paida bhi hova tha to Azan ke zariye ibtedayi kalimaat Allah wa rasoolullah ke naam the, to aakhiri kalimaat bhi Allah ka naam hi rahne paye,,

ALLAH ham sabko marte dum KALIMAH naseeb farmaye…..

plz,,read and share it.

You might also like