DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER :SALAH (EID), DAY :151,

 

Hazrat Abdullah bin Buraidah apne walid(raziyallahuanhuma) se rivayat kiya,aur kaha ke,Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) Eid ul Fitr(Ramazan) me Namaz se pahle kuch Khaliya karte aur Eid ul Azha(Baqar Eid) me Namaz ke baad tanawul(khana) farmate.
(Vol/1,H,No:545),
Dars :Ye eidain ke Aadab me se hai,
■■ Baaz log Eid ul fitr ki subah 9 ya 10baje tak rozah rakhne ko maante hai ¿¿!!!
☆☆ To is Hadees e paak se wazeh hogaya ke eid ul fitr Ki subah rozah rakhna nahi hai,us din to Khushi manane ka din hai,jo Allah ki taraf se Bando per rahmat hoti hai,to usko Khate aur Shukr karte huve guzaro to Munasib hota hai.
Allah sabko Khushiya Ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like