EID KE DIN QURBANI DENE WALE KA ROZAH ?

Sawal :Assalamualikum, Mufti saheb,
Jo Shaks Qurbani de raha ho to usko Eid ul Azha ke Din Qurbani dene tak Rozah rakhna hai ? Ya Nahi ? Kyu ke Hamare paas Eid ke Din Qurbani dene tak Rozah rakhne ka Rivaj hai ?
(Mohammed Nadeem,K.S.A),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah
Eid Ul Azha ho ke Eid ul Fitr Har Do Eido ke Din Nabi e Kareem Sallallahualihiwasallam ne Rozah rakhne se Mana farmaye hai,
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ قَالَ يُنْهَى عَنْ صِيَامَيْنِ وَبَيْعَتَيْنِ الْفِطْرِ وَالنَّحْرِ، وَالْمُلاَمَسَةِ وَالْمُنَابَذَةِ.
(Sahi Bukhari,Vol/1,H,No :1993),
To Eid ul Azha ke Din Qurbani hone tak koi Rozah rakhna Nahi hai,Wo Eid ka Din khushi Manane la Din hai,us Din Rozah Nahi rakhna hai.
Plz..Share it to All for more visit our islamic website:www.anwaarulislam,com
You might also like