EID UL AZHA KE DIN SAR KE BAAL CUT KARNA ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,

Jo Shaks Qurbani ka ehtemam karta hai,to kiya us shaks ko Eid ul Azha ke din qurbani ke baad Apne Sar(Hairs of Head) Nikalna kiya wajib hai ?

aur Hamare Paas Jo Qurbani Nahi dete wo log bhi Apne sar ke baar Eid ke Qutbeh ke baad nikalte hai to iska kiya Hukm hai ?

(Mohammed Jahangeer),

Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,

Jab Eid ke Din jis Shaks ki Janib se Qurbani hojaye to Ab us shaks ke sar ke baal Nikalna Sunnat se sabit hai,Wajib Nahi hai,Kyu ke wo shaks Zulhajjah ki pahli Tareekh se hi apne sar aur jism ke jo baal kaate jate hai uko Nahi cut karta hai,aur Nakhun Nahi Nikalta hai,to ab Taharat wa pakeezgi keliye Unko Nikalna hai,agar wo sar ke baal na cut kare to bhi uski qurbani hojati hai.

Jo log baghir qurbani ke bhi apne baalo ko Hajiyo ki shabeeh keliye nikalte hai,to koi Haraj Nahi hai,lekin isko zaroori samajh kar nikalna ye sahi Nahi hai.

(Al Hidayah,Vol/7,Pg/155)

You might also like