EIMAN AUR AMAL ?

Sawal: As salamu alekum wa rehma tullahi wabarakatuhu,
Sayyidi Mufti sahab ek sawal ap ki bargah me,
Hum jab kabhi koi hadith kibkitab padte hain to, sab se pehle KITAB UL IMAAN (booklet of imaan) padte hain, jis me aksar aamal ka b zikr hota hai, jyse k raste se kankar hatana bhi imaan ki alamat hai, to a baat samj me nahi aati k Imaan k bayan me AAMAL ka zikr kyu?
Jawab inayat farmaye to adaban shukriya honga.
jaza kallahu kahira                 (Hafiz Arifuddin),

jawab : walikumassalam wa rahmatullah,

Mohaddiseen e kiram(rahmatullahialihimajmayeen) kutab e Ahadees ko Kitabul ieman se tarteeb diye hain,aur usme mukhtalif gosho per roushni dalte huve aur eiman ke taqazo se wabastah ahadees e shareefah ko jama farmaye hai,to eiman ke baab me AAMAL KA ZIKR ka jo aap ka sawal hai,to uski wajah ye hai,ke EIMAN KA TA’ALLUQ aksar log Aqeedeh aur dil se rakhte hai,jo ke Wo kamil Eiman ki Tareef Nahi hai,balke eiman kahte hi hai,..
DIL SE TASDEEQ KARE,ZUBAN SE IQRAR KARE,AUR BADANI AAZA SE AMAL KARE to tab hi Eiman KAMAL ko pahonchta hai,warna wo kamil Momin aur Eiman wala hi nahi samjha jata hai,
isiliye Aamal ka zikr eiman ke baab me karte hai.
       (Hashiyea e sahi Bukhari,Vol/1,Pg/20)
You might also like