FUNCTION HALL ME IFTAR WA NAMAZ ?

Sawal: Assalmuaialikum,Mufti saheb,

Ghar ya function hall mai jo ifter karwate hai
Aur Namaz ka b inttezam karte hai tho Kya uska sawab utnahi milta hai jitna masjid mai jaamat se pdhne se milta hai.
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullahi wa Barakatuhu,
Masjid Ibadat ka Ek Khaas maqam hai,waha Rozanah Hazaro ki tedad me Rahmat ke farishteh Nazil hote hai,
Aur Function Hall ye Ibadat ka Maqam Nahi hai,Balke Dawat ka Maqam hai,lehaza dono maqamaat me Bohat ziyadah farq paya jata hai,
to ab Function Hall me Iftar aur khas kar Namaz Ba Jamat ke sawab ki baat hai,To Jamat ka sawab to insha Allah milega,Magar Masjid ki fazeelat wa Barkat Hasil Nahi hogi,aur ye function Hall me to zaroorat wa Sahoolat ke taur per Namaz aur iftar karwaya jata hai,iski shareeat me ijazat hai.
PlZ..share it to All ,for nore visit our islamic we site…anwaarulislam,com.

You might also like