ROZEH KI NIIYAT KA HUKM ?

Sawal :Assalamulikum,Mufti saheb,

ek aur sawal hai mera yeh hai ki ramazan kay roze kay liya niyat shart hai ramazan kay aalava nafil roze mai bhi niyat shart hai ya nahi details mai samjaye Assalamu aalykum jaza kalla khair
Jawab :walikumassalam wa rahmatullah,
Ramazan aur Doosre Nafil Rozo keliye Niyyat Shart hai,farq ye hai,ke
Ramazan me Niyyat Sehar se lekar subah 9 Baje tak(yani Nisf Nahar) bhi karsakte hai,magar Nafil Rozeh ke ek Din pahle Sham me hi Niyyat karlena hoga kyu ke Ramazan Ka poora Mahinah to rozo ka hi hai,ye Mutayyan hai,magar Nafil Rozo keliye koi Waqt muqarrar Nahi hai,ye Ghair Mutayyan hai.
(Tawzeeh,Vol/1)
Note :Agar koi Zuban se Niyyat Na kare Balke Sirf sehri hi karle to bhi unka rozah hojayega,kyu ke Sehri bhi Niyyat ke barabar hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like