GALE (NECK) ME I.D CARD RAKH KAR NAMAZ PADHNA …?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
aaj kal her maqam per id card lazim hai,jaise offices,schools and colleges etc,,jisme khud ki tasveer hoti hai,to uski gale me rakh kar namaz padhne ka kiya hukm hai ?
(md Arif K.S.A),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Gale (neck) me jo id card ho ya uske alawah jisko Jeb(chest pocket) me lalgate hai,etc,,Namaz ki Halat me namazi ke saamne jiski tasveer dikhti ho to us se Namaz makrooh hoti hai,
lehaz usko Namaz ke waqt nikal dena ziyadah behter hai,ya us id card ko jeb me is tarah rakh de ke tasveer na dikhti ho to phir koi Haraj Nahi hai.
(Al Hidayah,vol/1,Pg/281).

You might also like