GAY (COW) KI QURBANI PER PABANDI HO TO ?

Assalamualikum,Mufti Saheb,Mera sawal yeh hai ki zaid saudi arab mein muqeem hai aur apne watan india mein qurbani karna chahata hai magar voh qurbani ke kisi bade janwar mein hissa lekar karna chahata hai chunanche ab india mein gaye(cow) ki qurbani par pabandi hai to iss soorat e haal mein unth(camel ) ke alawah aur kis kis bade janwar ki qurbani halal aur durust hai.quran aur hadeeth ki roshni mein jawab dekar shukriya ka mauqa inayat farmaye.Jazak Allah.

(Mohammed Amjad Khan),

Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,

islam ek Aafaqi Mazhab hai,aur iske Usool wa Qawaneen Bando ne Nahi Balke Khud Allah ne Apne Kalam e Mubarak Me bataye hai,to unhi Usoolo wa Qawaneen ki raushni me Ulama wa Fuqaha e Kiram Ummat ke Masaayil ko apne Ijtehad ke zariyeh hall karne ki koshish karte hai,lehaza mazkooorah Soorat e Masvuool Anha ke Peshe Nazar ki jaha GAY(COW) ki Qurbani Per Pabandi ho to ayse Soorat me zaid Wunt(Camel) ke alawah Bhains Aur Khulga me Qurbani ke Hisseh me Milsakta hai,kyu ke Ulama e Kiram ne Hadees ki Roushne Me ye farmaya hai,ke Bhains bhi Gay ki hi ek qisam me se hai,lehza us ki qurbani bhi jayiz hai.

(Bahr ur Raayiq,Vol/8,Pg/201,..Badaius Sanaaiy,Vol/6,Pg/69,Muatta Malik,Pg/294),

uske Alawah Bail ki bhi qurbani de sakte hai,kyu ke ye bhi to Gay(cow) ke Jins me se Muzakkar hai,

(Al Hidayah,vol/7,Pg/169),

You might also like