MASJIDO ME IMAM AUR HAMARI ZIMMAHDARI !!

Allah ne Bando se wazeh alfaz me farmadiya ke Tumhare aur Jinnat ke ki Paidayish maqsad sifr Allah ki Ibadat hai,aur is maqsad ki takmeel ke tareeqeh Namaz ,Rozah ,Zakat ,aur Hajj se wazeh kardiya aur unke Sharaayit,Asbaab,Arkaan,Farayiz,wajibaat,sunnate aur Mustahabbat ke zariyah ahkamat bhi bata diyia hai,

gharz ke in Arkaan e Islam me  Har Din jiski ibadat ka Hukm diya gaya hai,Wo “NAMAZ” hai,

aur Namaz hi ek aysi ibadat hai,ke Jiske Bare me Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya: EK Namaz Doosri Namaz Bandeh ke Gunaho ka kaffarah hoti hai,  (Jamiut Tirmizi,Vol/1,)

aur ek Hadees me aya hai,ke Namaz Momin ki Meraj hia,yani jab wo Namaz padhta hai,to goya ke wo Allah se Baate karta hai,aur ek aur moqam pe Farmaya ke Namaz ka Intezar karna bhi Ibadat hai.

(Sahi Bukhari,Vol/1,Kitabus Salah,pg/35..80)

Phir Ibadat ka maqam bhi bata diya ke Masjid me Namaz ada kare,aur ye Hukm Mardo(male) keliye hai,Aurato(female) ko apne Ghar me Hi Namaz ada karne ka hukm diya gaya hai,

Baaz log bahes karte hai,ke Aurate to Pahle Masjid me Hi namaz padha karti the,ab kyu na padhe ?

to uska jawab ye hai,ke Ibteda e Islam me Jo log islam me dakhil huve the,aur Namaz ka hukm baad me aya tha,to uski tarbiyat aur taleem saare logo ke dene keliye Khawateen ko bhi masjid me Namaz padhne ki Ijazat di gayi thi,phir jaise hi unko Namaz ka tareeqah malum huva to khud Nabi e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya ke Khawateen ki Namaz Unke Ghar me androoni kamrah me padhne me ziyadah Afzal hai.

(Zujajat ul masabeeh,vol/4)

Masjid me Jamat se Imam ke peeche Namaz padhne ki fazeelat ke bare me aya  hai,ke Jo jamat ke saath Namaz padhta hai,to Allah usko ek Namaz ke badle 27 Namaze padhne ka sawab ata karta hai.

(jamiut Tirmaiz,vol//,H,No :215),

aur Is Namaz aur Jamat ki Zimmahdari Lene wala shaks “IMAM” hota hai,aur imam ke bare me aya hai,ke:

JO SHAKS KISI MUTTAQI AALIM KE PEECHE NAMAZ PADHTA HAI,TO GOYA KE WO EK NABI KE PEECHE NAMAZ ADA KIYA .

(Al Hidayah,Vol/1,Pg/234),

yani Nabi ke peeche Namaz padhne se jitna sawab milta hai,isi tarah ek Muttaqi AAlim ke peeche Namaz padhne se bhi utna hi sawab milta hai,aur ek doosri Riwayat me aya hai,ke ,,

Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) ne farmaya: Tumhare Namaz ke Qubool hone ka Raaz ye hai,ke Tumhare Namazo ki Imamat “ULAMA E KIRAM” kare,kyu ke Ulama hi hai,jo Tumhare aur Tumhare Rab ke darmiyan Rab se Milane wali Jamat hai.

(Eilaaus Sunan,Vol/4,Pg/218),

Lekin Afsos is baat per ke Aaj Hamare Musalman is baat ki taraf sonch rahe hai,aur kiya unhe apni Namazo ki Fikar hai,unka Imam koun hai? kiya padha hai ? aur uske Akhlaaq kiya hai ?

Bus Masjid ki Committee to Sirf Imam per Nahi balke uske Kam SALARY per hi Nazar rakhti hai,unke Paas to Jo jitna sasta Imam hoga wahi Bohat Acha samjha jayega,take us per her etebaar se zor chala sake aur har baat per uski Ghurbat ka faidah hasil karte huve usko daant te rahe,

Lekin Qaum ki Saari Namazo ki zimmdah dari me imam ke saath Masjid ki committee bhi barabar ki shareek hai,

Agar koi Aalim kayi saal taleem hasil karke aata hai,Saari zindagi uska kaam ilm hasil karna tha take qaum ke masaayil ko Hall aur dursut kare,jab us ne zindagi me kuch dawlat kamayi hi nahi to ab uske akhrajaat aur ghar ki Zimmahdariyan bhi to hoti hai,to uski qaum Madad Nahi karsakti hai ?

jab ke wo Mehnat aur apna Waqt laga kar kuch Raqam maangta hai,to bura kiya hai ?

kiya uska Pet Nahi hai ?

kiya uska Ghar nahi hai ?

kiya wo Insaaan Nahi hai ?

Soncho Jab tumhaari zaroooriyat hoti hai,to us imam ki bhi zarooriyat zaroor hoti hai,lehaza ab Waqt agaya hai,ke Nawjawan aage badhe aur imamo aur Moazzino ki Madad kare jab wo Tumhari Namazo aur tumhari deeni kamo ki Zimmahdari liye hai,to aap bhi unki zimmahdari qubool kare aur unki Madad kare,,Aur unki Salaries ke Bare me Dekhe aur sonche,,jab unki salary ka aadha Hissah to GHAR KE RENT ada karne me jata hai,aur baaqi zarooriyat e zindagi me ….!!!!!!! phir unke paas hai kiya ??

agar Imamo ke baare me Na sonchoge to Jayyid Ulama Masajid se door hojayenge aur Na Ahel log masjido me IMAM bankar rah jayenge jis se Namaze bhi Na Mukammal hongi aur Us se Ulama e Kiram ki bhi Be Hurmati hagi,,,

Dosto,,Aaj Yahi wajah hai,ke Hamari Namazo se Nooraniyat aur Gharo se Barkat Khatam hoti jarahi hai,jis ke baare me sabko aur Khas kar Dawlat mando aur Masjid ki Committee ke zimmahdaro ko sonchna bohat zaroori hai.

You might also like