GHAIR MUSLIMO KE TEHWARO ME SHAREEK HONE KA HUKM ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,kiya Ghair Muslimo ke tehwaro jaise Holi,DEEWALI etc..ko acha samajhkar usme shareek hone ka kiya  hukm hai ?   (SYED ANWAR SHAH).

Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah wa barakatuhu,
Deen e islam ek Aafaqi Mazhab hai,Jiske Usool wa Qawaneen Saare Alam ke insaano keliye Nafa Bakhsh hai,aur ye Haqqaniyat per Mabni hai,lehaza jaha tak ek Musalman ka Ghairo ke Tehwaro Jaise Holi aur Deewali etc.. ko Acha Samajhna aur unki taraf Dili rujhan ke saath Shareek hona Haram hai,aur Ye Kufr ke Qareeb hai,
Haan,Jis mulk me kayi Mazahib wale log rahte ho aur waha wo Bhai charah ki zi dagi basar karte ho aur ek doosre apne tehwaro me doosro ko shareek karte ho to aysi soorat me ek musalman ko ghairo ke tehwaro me Is tarah shareek hona ke Dil me uski sakht Nafrat ho aur wo sirf waha Shareek rahe Na ke unki Saath Holi khelna shuru karde Balke Shareek rahe aur har ghair sharee kaam se ruke ye us waqt hai,jab ke ek musalman ghair ki dawat me Na jaye to Halat me farq aur apasi ranjishe paida hoti ho,warna Na jana hi munasib hai.
(Aqaayid e Nasafi,Vol/1,Pg/98)

You might also like