DARSE JAMIUT TIRMIZI ,CHAPTER : PEENE KE AHKAM,DAY : 364,

Hazrat Jabir Bin Abdullah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam)

ne farmaya : Har Nasha Wali Cheez Thodi ho ya Ziyadah “HARAM” hai.
(Vol/1,H,No :1985),
Dars :Islam me Nasha Wali cheez ko Haram qarar diya gaya,Kyu ke uske Peene se Insaan ke Aqal per pardah aajata hai,aur insaan Nasah jab tak hota hai,Allah ki di huvi Anmol Nemat”AQAL” se Mukammal taur per kaam karpata hai,Aur wo apne Aap ko Bhool jata hai,Aur Allah se bhi door hojata hai,
■■ Dunya ke Saare Mazahib me Deen e islam hi ek Aysa wahid Mazhab Jisme Sharab aur Nasha Wali Cheezo ko Haram qarar diya gaya hai,Lehaza ye Islam ki Haqqaniyat aur Uske Saare Insaano ke Muwafaqat per Mabni hai,ye Deen e islam ke Sunahre Usool me se hai,
●● Aaj kal Sharab peene ko Fasion samajh rahe hai,Yaad rahe yahi fasion Insaan ko Sharabi phir Be Namazi Bana dega aur Baad me wo Sharabi Dunya me aur Aakhirat me Tanha hojayega.
Allah Hame Bure Kaamo se mahfooz farmaye..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site…anwaarulislam,com.

You might also like