GHAIRO KE FESTIVALS PER MUBARAKBADI..?
Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
Ghair muslimo ke Tehvaro(festivals) jaise diwali etc..per Musalman Mubarakbadi de sakta hai,ya Nahi ?
(Ahmed khan Naqshbandi),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatuah.
Deen e islam Ukhuwwat wa Bhaicharah wala Mazhab jisme Insaan ke Har pahlu ka lehaz kiya gaya hai,aur ye Mazhab Hikmat wa Firasat se bhara huva hai,jaha tak ghairo se Bhairah charah ki Baat hai,to Seerat e Mustafa wa Habeeb e Kibriya(sallallahualihiwasallam) se yahi taleem milti hai,ke ghairo se bhi Husn e Akhlaq wa Bhaicharah ka sulook karna hai,jo ke Khidmat e islam wa tableeaghe deen ka ek Hissah hai,lehaza Wo Mulk jaha Ghairo ki tedad ziyadah ho aur unse Raabte wa Mubarakbadi Na dene se Mahol Kharab hota ho aur Apasi Dushmani paida hojati ho to Dil me Hidayat ki Niyyat rakhte huve Unke Tehvaro ki Mubarakbadi dene ki ijazat hai,lekin unke tehvaro me shareek hokar unke Aamal karne ki Hargiz ijazat nahi..
(Al Quran,Surah Nahl :106),
Plzz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.