DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 513,Hadees No :2232,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha ,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne Ek Shaks se Mulaqat keliye Tashreef legaye jisko Bukhar(fever) tha to usko dekh kar farmaya : Yaqeenan Allah farmata hai,ke Aye Bandeh ye Aag (Bukhar) to Meri hi taraf se hai,jise mai tujh per Musallat karta hoon,taake utni Jahannam ki Aag Tujh se Maaf hojaye.
(Vol/2,Hadees No :2232),
Dars : Bandeh ko Bukhar ka Aana Zahmat Nahi Balke Rahmat hi hai,kyu ke Bukhar(fever) se jismani Sehat ke saath saath Gunaho ka kaffarah bhi hojata hai,Allah ko Rahmat se Qareeb hojata hai,lehaza jab bhi Bukhar aaye to Shikayat Nahi balke Rabb ka Shukr Baja lana chahiye,
●● Hazrat Hassan(raziyallahu) farmate hai,ke Jab Hame Bukhar Nahi aata to Hum Apne Dilo me Bukhar Kam se Kam ek din to Aane ki dua karte taake wo Gunaho ka kaffarah hojaye..Allahu Akbar Kabeera…
Kaisi Pakeezah Hastiya jinki Pakeezgi ka Tazkirah Quran e Kareem me kiya gaya hai,phir bhi aysi Umeed karna Yaqeenan Ummat ki Taleem keliye hi hai,
Allah hamare Sagheerah Kabeerah Gumaho ko Maaf farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like