GHAR AKHRAJAT KE RUPIYO ME ZAKAT ?

Sawal :Assalamulikum,Mufti Saheb,
Agar koi khatoon apne Shohar ke Ghar Akhrajaat keliye diye huve paiso ko kharch ke baad jama kare aur jiski Qeemat 3 ya 4 Lakh hojaye aur Un paiso per 1 Saal bhi guzar gaya hai,to kiya ab us khatoon per un paiso me se zakat nikalna hoga ya Nahi ?
(Ek islami Bahen),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Shohar ke Gahr akhrajaat keliye diye huve paiso ko Ghar kharch me istemal karne ke Baad Kuch paiso Ghar Akhrajaat me baghir kisi Kami wa beshi ke jama hojaye to ab wo Paise ya Rupiye Bivi ke paas ho aur un Rupiyo per Saal bho guzar jaye jo Nisab ko pahochte ho to Ab un Rupiyo per Zakat Wajib hoti hai,Ab usk Zakat Shohar bhi Nikal sakta hai,aur Bivi bhi Nikal sakti hai,kyu ke Ab Wo Maal Shohar bivi ko hi rakhne ko kahe to bivi per Zakat wajib,agar Shohar rakhle to Shohar per Zakat wajib hoti hai,kyu ke Maal bhi hai,aur Saal bhi Guzar gaya hai.
(Al Binayah,Vol/2),
Mashorah : Shohar ko Chahiye ke Wo Maal bivi ke Paas se Na le kyu ke Ek Samajhdar Bivi Un Paiso ko Apne liye Nahi apne Ghar keliye hi Jama karti hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like