GHAR ME INTEQAL AUR QURBANI..?

Sawal :Asalamualaikum mufti sahab… ek suwal hi.. 20 days back humare chote dada ka inteqal hogaya tha.. tho dadi kehrahe hi ki eid nahi hai iss baar.. bhakra Qurbani nahi deysakte… a kaha tak sahi hai mufti sahab..?? Qurbani deysakte hai ya nahi ???
plz answer this very needful
aur naye kapde b pehnsakte hai ya nahi . dhono ka answer b please batadijiye..
(Ek islami Bhai)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Agar Ghar me kisi ka inteqal hojaye aur 3 din guzar jaye to Eid mana sakte hain,aur aur ayse mauqeh per Naye kapde bhi pahen sakte hain,
jaha tak qurbani ki Baat hai,to Wo Har Sahib e Nisab per Har Haal me Qurbani dena hi hai,chahe 1 din bhi guzre ya Na guzre,
Lehaza Kisi ke marne se Qurbani Na maaf hoti hai,aur Na hi us se Mana kiya gaya hai,agar Inteqal ki wajah se Qurbani Na de to Gunahgar hoga.
(Al Hidayah,Vol/2)
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like