DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 474,Hadees No :2158,

 

Hazrat Huzaifah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram(Sallallahualihiwasallam)
ne farmaya : Choghli Karne Wala Jannat me Dakhil Nahi hoga.
(Vol/2,Hadees No :2158),
Dars : Ek Shaks ki Raaz wali Baat kisi Doosre ke Saamne kahna aur usme Khamiya aur Ayb Nikalna Choghli Kahlati hai,jisko Deen e islam me sakhti se Mana kiya gaya hai,
Aaj Sab se Ziyadah koi Bura Amal horaha hai,to ek Doosro ki Choghli bhi Shamil hai,Ghair Mahsoos Andaz me choghli horahi hai,Be faidah Baate ziyadah karne se Choghli ko Raastah mil jata hai,lehaza jitna Khamoosh rahe to sab keliye wo faidah mand bhi hoga aur Aakhirat me Najat ka zariyah bhi….
Allah hum sabko choghli se Mahfooz kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like