GANESH KA PRASAD KHANA KISA..?

Sawal :Asslamu alaikum moulisab sawal tah Ganesh ka parsad Bismillah pad k kah sakte kyaa ?
(Mohammed Junaid),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Ganesha ka ho ya kisi Ghair Mazhab ke Buto ke Saamne Rakha Huva Prasad(Khana ya Fruits etc..) ka Khane ki Ijazat Nahi hai,Kyu ke us se Ghairo ke Batil Aqeedeh jode rahte hain,jo Aqaaid e Islam ke khilaf hai,
Haan,Agar uske Alawah koi Khane ki Cheez Na ho jiske Na khane se Jaan Chali jane ka darr ho ya Apas me Ekhtelafaat Badhne ka darr ho to usko lekar baad me Phenk dena chahiye agar khane ke Alawah koi charah hi Na ho to Majboori ki soorat me Dil me Na pasand karte huve usko khane ki ijazat hai,Warna Hargiz ijazat Nahi hai.
(Aqaayid e Nasafi,Vol/1),
Note :Bismillah Har Halal Cheez Khane se Pahle Padhna hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like