GHUSL E JANABAT SE PAHLE SOJANE KA HUKM

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Agar kisi ko Raat me Ehtelaam hojaye yani Usper Ghusl wajib hojaye ,awr un dino Sardi bhi ziyadah ho,Nahane se Beemari ya Noqsaan ka darr ho?
Garam pani(Hot Water) bhi dastiyaab Na ho?
To usko kiya karna chahiye ?
(Abdul Razzaq),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Raat me agar Ghusl Wajib Hojaye to usko Chahiye ke Koshish kare Raat me hi Ghusl karle,
Agar Thand ziyadah ho,Garam paani Dastiyab Na hoto ,usko chahiye ke Raat me Wazoo karle,phir Subah me GHUSL karle ,
Is ziman Hazrat Ayisha(raziyallahuanha) ne Farmaya : Nabi e Akaram(sallallahalihiwasallam) per Jaab Raat me Ghusl e Janabat ki zaroorat hoti,to aap raat me wazoo karlete,Awr Subah me Ghusl.
(Jamiut Tirmizy,Vol/1,H,No :119).

Plz..Read and Sahre it,For Islamic Service.

You might also like