NA PAAKI KI HALAT AWR ZAKHM ? GHUSL ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb
Agar Na Paaki ki Halat me ho,awr uske Badan me aysi chot ya Zakhm ho ke Paani Daalne se Zakhm awr bhi Badh sakta hai, to Ghusl ka kiya hukm hai ?
(Mohammed Osman),
Jawab : Walikumassalam Wa Rahmatullah,
Jab Koi Na Paak Halat me ho Ghusl Wajib hojaye,
Magar uske Badan me chot ya Zakhm Ghusl se badhne ka Darr hoto ab us per
” TAYAMMUM ” Wajib hota hai,awr ye Ghusl ke Hi Hukm me hai,
(Al Hidayah,Vol/1,Pg/86),

Plz..Read and Share it,For Islamic Service

You might also like