GOLD CHAIN KA TOHFAH

Sawal :Assalamualikum,

Ek Musalman ka kisi Ghair Muslim ko Sone Ka Haar Tohfeh(Gift) me dena ya Pahnana Shareeat ki Nazar me kaisa hai ? Aur Pahnane wala Hafiz e Quran ho to kiya Hukm hai ?
(Mohammed Farooq Khan),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah
Deen e islam me Mard keliye Sona pahen na Haram hai,Aur wo kisi Mard ko dena dono Jayiz Nahi hai,chahe wo mard Ghair muslim hi kyu Na ho,kyu ke Dene wala to musalman hai,Usko Chahiye ke Wo kisi Mard ko Sona Tofeh me Na de,Balke koi Doosri Cheez de,
Lekin Baaz Ulama ne Ghair Muslim ko Sona Dene ke bare me Karahat ka izhar kiye hai,
Hafiz ho ya Aam admi ho wo Gunah ka murtakib kahlayega.
(Al Quran,Surah Mayidah,Ayat :2),
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like