HUQQAH PEENA KIYA SUNNAT HAI ?!

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Aaj Kal Baaz Naujawan Huqqah pee kar kah rahe hai,ke Huqqah peena Sunnat hai ? !
Kiya ye sahi hai ? Aur kiya huqqah pee sakte hai ?
(Khaja Asif),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Huqqah ka istemal agar Nesheli aur Nashe wali cheezo ke saath ho to uska Peena Jayiz Nahi hai,aur agar usme Halal Cheezo ka flavor jaise Apple etc ho aur wo ilaj keliye Doctor ne kaha ho to uske istemal karne ki ijazat hai,warna Jisme koi faidah na ho bus Time paas keliye ho to uski ijazat Nahi hai,kyu ke Deen e islam ne waqt zaye karne se bhi roka hai,
(Al Quran,Vol/2,Sureh Baqarah)
Ab Rahi Baat Huqqah peena kiya Sunnat hai ?
Huqqah Peena Kisi bhi Hadees se Sabit Nahi hai,aur is tarah kahna Sahi Nahi hai,balke ye Jhoot aur Sunnat me dakhalandazi lazim ayegi aur Jhooti Hadees Kahne aur Pahlane walo ka Thikanah jahannam hai.
(Jamiut Tirmizi,Vol/2),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like