DARSE JAMIUT TIRMIZI

CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 699,Hadees No :2582,

Hazrat Jabir Bin Abdullah (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Qiyamat me Bakhshe huve log,un logo ke Ziyadah Sawab ko dekhenge jinhe Dunya me Museebato ne gher rakha tha,to Wo bhi Chahne legenge ke unko bhi Museebato se Aazmaya jaye aur unke Jild(skin) ko Khainchiyo se kaata jaye.
(Vol/2,Hadees No :2582),
Dars : Yani Jin logo ko Dunya me jitna ziyadah mushkilo aur Museebato se azmaya jata hai,to Akhirat me unko utna hi ziydah sawab bhi diya jata hai,kyu ke wo Allah ke faisleh per Raazi hogaye the,aur us per Sabr kiye the,lehaza jo bhi Dunyavi Museebato me ghere huve hai,unhe chahiye ke wo sabr kare ye museebate kuch dino ki hai,aur Baad me Hamesha Rahne wali Nemate milne wali hai,insja Allah,
■■ Apne Jild ko khainchiyo se Kaat jane ka matlab ye ke Insaan ko sab se ziyadah takleef us waqt hoti hai,jab uske skin ko chumta ya kata jaye lehaza kahne ka maqsad Bakhshe huve logo ki Chahat ke is Akhirat ke Bade Sawab keliye Hamari skin ko kata bhi jaye to hum us per sabr karlenge,kyu ke us Bade Sawab ke Saamne ye Takleef bohat Choto hai.
Allah hame Har Qisam ka sawab Naseeb farma..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like