ISALAM ME LACCHA KA HUKM

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
kiya Nikah (shadi) baghir “LACCHA” (kaale beeng ka haar) ke Hosakta hai,ya nahi ?
awr isle pahenne ka kiya hukm hai ?
(karnataka se ek islami bahen),
Jawab : Walikumassalam wa rahamtullah,
Islam me Nikah ke arkaan me :EEJAB WA QUBOOL,WALI AWR 2 GAWAH se nikah hojata hai,to nikah ka taalluq “LACCHA ” se Nahi hai,yani uske baghir bhi Nikah hojata hai,nikah ke hone ya na hone me “Laccha ” Ka koi dakhal nahi hai,
haan ,jahatak uske pahenne ki baat hai,usko bus ek ” ZEWAR”(Jewel) samajh kar pahnna jayiz hai,awr us se yani laccha pahenne se shohar ki hifazat hoti hai,awr us se bivi sada suhagan hoti hai ka aqeedah rakhna ” SAHI NAHI HAI”
awr laccha ka pahenna INDIA me ladki ke SHADISHUDAH hone ki alamat samajhi jati hai,bus uske alwah kuch doosre khayalaat wa aqeedah sahi nahi hai,awr jo nahi pahente hai,to koi baat nahi ,

plz,read and share it.

You might also like