LEFT HAND SE JANWAR KI QURBANI….ZUBAH ?

Sawal :Assalamualaikum Mera ek swal ????
Agar koe shaks left hendi he jese aksar hote he me khud bhi. Es surat me qurbani ke janwar par left hand se qurbani kar sakta he.kyuki right hand ki banisbat left hend me power jyada hota he. Rahnumayi farmaye.
(Mohammed Shahid Ashrafi),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Qurbani Halal hone aur Mukammal hone keliye Ayyam e Qurbani(10,11,12 ki shaam tak maghrib se pahle) hai,aur Zubah ke Waqt Allah ka Naam lena hai,ye paye jaye to Qurbani hojayegi
Aur Seedhe Haath(right Hand) se Qurbani dena Qurbani ke Aadab me se hain,Sharaayit me se Nahi hai,lehaza Agar koi Apne Kaamo me Baye Haath(left Hand) ko hi ziyadah istemal karta ho to wo Baye Haath(left Hand) se Qurbbani de to qurbani hojayegi,
Agar Seedhe Haath se Janwar zubah karne ki Taqat ho to wo Seedeh Haath se Qurbani de to ziyadah Afzal hai,warna Koi Haraj bhi Nahi hai.
(Al Hidayah,Vol/2),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like