DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 468,Hadees No :2152,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Ek Shaks Rasoolullah Sallallahualihiwasallam ki Bargah me Hazir hukar kahne laga ke Ya Rasoolallah aap Mujhe Taleem de,phir kaha Thodi hi Baate bataye ziyadah mujhe Yaad Nahi rahta hai,to
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Tum Ghussah Mat huva karo,is tarah aapne kayi Martabah farmaya.
(Vol/2,Hadees No :2152),
Dars : Is Hadees e paak me ye bhi Hikmat batayi gayi ke Jis Bandeh ko jo aur jitni taleem ki zaroorat ho usko utna hi batane me Bhalayi hai,yaha us shaks ko Ghusseh per qabu pane ki badi zaroorat thi to aapne usko wahi taleem sikhayi hai,
■■ Ghussah Tamam fasad ki jad huva karta hai,Fasad ko khatam karna ho to sab se pahle Na jayiz Ghusseh ko khatam karna hoga..
●● Deeni moamlaat,Apne Haq ko Hasil karne keliye yani jaha ghussah munasib ho waha Ghussah hona bhi ek Nemat hai,warna Deen ke khilaf koi bole aur yaha Khamoosh tamashayi bane rahe to ye Achi Nahi balke Buzdili ki Baat hai,
Haan,Jaha ghussah Munasib hi na ho waha ghussah kare to ye Sabkeliye Zahmat wa Nadamat ka sabab hota hai.
Allah hame Na jayiz Ghusseh se Mahfooz kare..Ameen.
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like