LOCKDOWN 2020 AUR HAMARI MASROOFIYAT

Insaani Zindagi me Insaan keliye 2 Johar Khudawande Quddoos ki Nemate hoti hain,1Androoni Johar jo uske Jism se Muta’alliq hota hai,Aur Doosra Johar jo Uske Jism se Juda rahta hai,magar Uska Us se Berooni Ta’alluq zaroor rahta hai, To Jo Jism se Muta’alliq ho wo “SEHAT” hai,Aur Jo Berooni Jism se Muta’alliq ho wo “FURSAT” Hai,ye Dono Bandeh keliye Nemate bhi hain,Jabke Insaan inhi 2 Cheezo se Ghafil rahta hai,Jaisake Hadees e Paak me aya hai,ke نعمتان مغبون فيهما كثير من الناس : الصحة والفراغ 
(صحيح البخاري،٥/١٣٥٧)
Rasoolullah sallallahualihiwasallam ne farmaya: 2 Nemate Aysi hain,ke Jin ke Baare me Bohat se Log Dhoke me hai,1) Sehat 2) Faraghat hai.
Sehat Bandeh ko Allah ke Ahkamaat baja lane,Namazo ki pabandi, Aur Farayiz Wa Nawafil ki Amal Awari se Jismani Sehat ke saath Roohani Sehat bhi Naseeb hoti hai, Aur Jismani Warzish se Bandah Chaq wo Chavband, Hasshash wa Basshash,Jismani Sehat me Mazeed izafah, Ya Sehat Ka Tawazun Barqarar rakh sakta hai,
Jahatak Fursat wa Faraghat ki Baat hai,Filhal ye Wabai Marz “COVID 19” YA “CORONA VIRUS” se Saare Aalam me Tashweesh Pahli huvi hai,aur Saare Aalam ke Doctors wa Specialists ka bhi yahi kahna hai,ke : Ye Ek Wabai aur Muta’addi Marz hai,jiski Rok Tham Insaani Ravabit,Aur Apasi Ta’alluqaat ka Inqita’a,aur Ittema e Aam se Qate Ta’alluq hi iska Hal hai,to usko Madde Nazar rakhte huve,Har Mulk Apne Apne Andaz me ihtiyaati Tadabeer ke taur per “LOCKDOWN” la Elan kar raha hai,aur Baaz usme Mazeed Izafah(extended) kar rahe hai,Ye Zahir me Waqi Mashaqqat Zaroor Nazar aati hai,Kekin isme Dayim Faidah Chupa huva hai,
Agar Bandah khud ki Hifazati Tadabeer Na Barte to wo Khud ko Halakat me Daalne wala Samjha jayega,Jabke Deen e islam ne is se Roka hai,Quran e Kareem me aya hai,ke :
APNI JAANO KO HALAKAT ME NA DAALO..
(Al Quran, Surah Baqarah :195),
LOCKDOWN ke Usoolo pe Amal Na karna Aur uske Ehtemam se Ruk jana ye Halakat ki Dawa ko Qubool karne ke Mutaradif hai,Jo Allah ke Hukm ke Bilkul Khilaf hai,
LOCKDOWN (Aam Insaani Zindagi ki Masroofiyat ko Waqti taur per Band karna hai) Haqeeqat me Ye Bandeh keliye Fursat ki Nemat me se hai,Aur Doosre Nazriyeh se Gunaho se Taubah ka Mauqah bhi..to Bandah ayse waqt Is Fursat ka Sahi istemal kare..
■ Namazo ki Pabandi Kare,
■ Ghar me Quran ki Tilawat kare,
■ Nafil Rozo ka Ehtemam kare Jabke ye Shaban ka Maah hai,to is se Sunnat per Amal Awari ke Saath Ramazan ki Tayyari bhi hojayegi,
■ Ghar me Nafil Namaze : Namaze Tahajjud,Ishraaq,Chasht,aur Namaz e Awwabeen etc..ka Ehtemam kare,
■ Zikr wo Azkar,Taubah wa Astaghfaar ki Mahfile sajaye,
■ Durood e Paak ki Mahafil ka Ineqaad Kare, 
■ Apne Bacho ki Taleemi Meyar ka Exam le,Aur Unhi Achi Achi Naseehate kare,
■ Ijtemayi Duao ka Ehtemam kare, 
■ Allah Agar Maal se Nawaza ho to Ghareebo wa Miskeeno ka Khayal kare,Maal se Ya Khane ke Ehtemam se unki Madad kare,
■ Jin Gharo me Mard Hazraat Na ho to Unke Zarooriyat e Zindagi lakar dene me Madad kare, 
■ Jinhe Quran Padhna Nahi aata to wo is mauqeh per Quran Seekhne ki koshish kare, 
■ Jin Hazaraat ko Sureh,Masnoon Duae,Namaz ka Tareeqah,Wazu ka Tareeqah Aur Islami Maloomat me kami ho to Ulam e kiram se Ruju hokar unse Unhe Seekhne ki Koshish kare,to insha Allah is Fursat se ilahi wa Deeni Qurbat Hogi aur ye Wabai Marz bhi Jald hi door hojayega.
Allah hame is Wabai Marz se mahfooz rakhe..Ameen.

Written By:
MUFTI RAHMATULLAH QADRI 
(Founder TANZEEM ANWAARULISLAM, & Madarsah ANWAARULISLAM Lil Banat, TAYYAB Nagar,Talab Katta, Mahbubnagar, T.S,INDIA).

You might also like