MAGHRIB KE BAAD AGAR BATTI…?

Sawal : Assalamualikum,Mufti Saheb,
Baa Log kahte hai,ke jis maqam per Mayyit ko Ghusl diya jata hai,to us maqam per 40 din tak Maghrib ke baad Agar Batti lagana hai? to kiya aysa karna zaroori hai ?
(Naziyah begum)
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
Mayyit ko Ghusl diye huve maqam per 40 Din tak Maghrib ke baad Agar Batti lagana kisi bhi Hadees se sabit Nahi hai,aur ye Aqli taur per bhi kisi keliye faidahbaksh bhi Nahi hai,
Haan,Agar Marhoom ke saath Husn e Niyyat hi maqsood ho to Quran e kareem ki tilawat karke ya ek hi surah kya na tilawat kare aur uska sawab Marhoom ko pahoncha de to Marhoom ki Roohaniyat ko Rahat milegi aur Darajaat me bulandi ka sabab bhi hoga…
Note : Haq batana aur Jo cheeze Shareeat me Na ho usko Batana Hamari khidmat hai,ab us per Amal karna qaum ka kaam hai…
Plz,..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like