DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 452,Hadees No :2126,

 

Hazrat ibne Abbas(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha, Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Apne Bhai se Jhagda Na karo,Aur Uska Mazaq bhi Na Banavo,aur Na hi koi Aysa wada karo jiski Tum khilaf wardi karte ho.
(Vol/2,Hadees No:2126),
Dars : Jhagde Shaitan ki Taraf se hota hai,jis per Shaitan Bandeh ko ubharta hai,taake Musalman ya kisi insaan se lade aur jhagde aur Apas me ek Doosre ke Dushman hojaye,Lekin Deen e islam Mohabbat wa Shafaqqat,Sabr wa Tahammul ki taleem deta jis se Apas me Dayimi Mohabbat Wa Shafaqqat paida hoti hai,Jo bhi is Dunya me Jhagdo se Door rahe hain,wo is dunya me bhi Rahat se rahe hai,aur insha Allah Akhirat ki dunya ne bhi Rahat se Rahenge…
●● Wadah ko Poora karna Momin ki Alamat wa Shaan Batayi gayi hai,aur Wadah ki khilafwardi karna “MUNAFIQ”ki Sifaat me se bataya gaya hai,lehaza Jo Zameen me Bando ke Wado ko pura karega,Aakhirat me uski Wada Wafayi ka Be Hisab Ajr wa Sawab bhi diya jayega..
Allah hame Wadah Wafa karne wala,aur Jhagdo se door rahne wala banaye.Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like