MAGHRIB KI AZAAN SE PAHLE ASAR KI NAMAZ..?

Sawal :Assalamo alaikum,Mufti saheb,
yeh malum karna chahta hu ke kam ke dauran Asar ki namaz nahi padhsaka magrib ki azaan hone wali hai Kia magrib ke azaan se pahle asar ki namaz padh sakte hai ya nahi ?
(Maqbool Hussain),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah.
Agar kisi ki Asar ki Namaz Jamat se Choot jaye Phir Maghrib k Azan se Pahle Yaad ajaye ya Mauqah mile to Ab Maghrib ki Azaan ko Hone hi Wali hai,ab Asar ki Namaz Nahi padhni Chahiye Balke Baad me uski Qaza karni chahiye kyu ke Maghrib ki Azaan jab hone wali hi ho to ab Agar Asar ki Namaz padhna Shuru karde aur udhar Azan hojaye to Asar ki Namaz Adhoori hi rah jayegi,Baaz makrooh waqt me aur Baaz Namaz Baghair Waqt me lehaza Baad me Qaza karna hi ziyadah behter hai,
Haan,Agar Maghrib ki Azaan keliye 15 Min Baaqi ho to ab Asar ki Namaz ada karke padh sakte hai.
(Sharh ul Wiqayah,Vol/1,Pg/123..140),

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like