DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : NEKI WA HUSNE AKHLAAQ, DAY : 457,Hadees No :2133,

 

Hazrat Abu Dardaa(raziyallahuanhu)se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Qiyamat ke Din Bandeh ke Naam e Aamal ke Tarazu me Sab se ziyadah Wazni Cheez Uske “HUSN E AKHLAAQ” hote hai,aur Allah ke Paas Sab se Na pasandeedah Shaks Bad Akhlaaq wala hota hai.
(Vol/2,Hadees No :2133),
Dars : Ek Doosre maqam me Hadees e paak me aya hai,ke Insaano me Sabse Behtreen insaan wo Hai,Jiske Akhlaaq Behter ho,
Ache Akhlaaq wale ka Akhirat me Naama e Aaml bhi wazn hoga aur Dunya me Uska Rutbah bhi Bada Azeem hoga har koi Uski Baat ko Ahmiyyat denge aur uska Ehteraam karenge,
●● Musalmano ki Sabse Qeemti Dawlat Maal ya Taqat Nahi Balke Husne Akhlaaq hi hain,Kyu ke Hamare Nabi e Paak (Sallallahuihiwasallam) hi Khuluq e Azeem ki Sifat se Musaffa hain,to ab Hum ummatiyo ke liye bhi yahi Sifat Ache Akhlaaq ko apnana hi SACHI AQEEDAT WA MOHABBAT hai,Warna kuch der keliye Nara Lagane wale to Bohat hi maujood hai…!!!
■■ Jis Qaum ke Baaz Nawjawan apne hi Qaum ki Muslim Ladkiyo ko Sare Bazar me Chedne lag jaye,jabke Ghair ladkiyo ko chedna bhi Haram hai,aur jis Qaum ki ladkiya Be Pardah hojaye,Hijab unke badan per Wazn mahsoos hone lage aur jis Qaum ke Baaz Tajiro me Amanat dari Baaqi Na rahe,aur Jis Qaum ki Aane wali Nasl Raato me Be fuzool khelo ya Baato me apna waqt guzare,aur Mehnat ko Haqeer samajhne lag jaye aur jis qaum ki Baaz khawateen Aadhi Raat tak Be Fuzool kaam me ya Guftugu me lagi rahe,aur jis Qaum ke Naw Nahal Bacho ki tarbiyat Filmi fankaro ke kirdaro se ki jaye to us Qaum ko Is Dunya me Bade Maqam aur Badi kamiyabi keliye koi Jagah Nahi hoti hai,kyu ke Bunyadi taur per wo Husne Akhlaaq se Aari hojate hain,aur har taraf zillat wa ruswayi dekhni padhti hai,
Haan,Wahi Sahaba e kiram(raziyallahuanhumajmayeen) jinke Paas Na khane keliye khana huva karta Balke Kadi dhoop me Maidan e jang ke sakht garmi wale dino me Khajoor ko choos choos kar islam ki sarbulandi keliye lada karte,aur Na pahen ne keliye kapde ek hi chadar se zindagi basar karlete the..Lekin Aaj bhi Dunya unko izzat se unke Naam ko yaad karti hai,unki Seerat ko Uswah banati hai,Jaha jaate kamiyabi unse pahle waha pahonch jaati thi,uski Bunyadi yahi wajah ke Wo sab ke sab “HUSN E AKHLAAQ” se Arastah huva karte the,jab hum usko apna lenge to Hamari khoyi huvi izzat wa kamiyabi hamare qadam choomte huve saamne hazir hongi…insha Allah.
Allah hame Husn e Akhlaaq se Arastah kare…Ameen.
Plz..Shae it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like